LYRIC

Chale Aana Lyrics by Armaan Malik.

Chale Aana Lyrics – Armaan Malik

Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana
Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana

Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana
Tumhe main bhool jaaunga
Yeh baatein dil mein na laana

Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Tha kaun mera, ek tu hi tha
Saanson se zyada jo zaroori tha
Tere liye main kuch nahi lekin
Mere liye tu mera sab kuch tha

Nahi jaana bula kar ke
Yeh baatein tum hi kehte the
Rahi khushiyan nahin meri
Ke tum bhi waqt jaise the

Tumhara tha, rahega bhi
Karein kya dil hai deewana

Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Maine tumhaari baat maani hai
Maine manaaya dil ko hai kasie
Ab se raho tum khush jahaan bhi ho
Mera tumhara tha bhi kya waise

Bhale doori rahe jitni
Nigaahon se nigaahon ki
Magar khwabon ki duniya mein
Milunga tumse rozana

Yahin tak tha safar apna
Tumhe hai laut kar jaana
Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Na ra, na ra
Chale aana, chale aana…

Chale Aana Lyrics – Song Info

Vocals: Armaan Malik
Movie: De De Pyaar De
Written By: Kunaal Vermaa
Music: Amaal Mallik
Cast: Ajay Devgn, Rakul Preet Singh
Label: T-Series


Added by

lyricsmin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO